Ek pal ko jhagadte the agle hi pal fir mil jate the hum
Jhuti muti ka gussa karte the fir ek duje ko manate the hum
Aisa tha vo bachpan ka saath aisa tha vo pyar hamara
Kabhi ruthe bhi to ek duje se fir dugna pyar jatate the hum
Tu dost bhi tha mera tu raazdar bhi tha
Bachpan ki shetaniyon mei adha hissedaar bhi tha
Tujhe jataya nahi kabhi par itna jaan le
Tujh jaisa bhai pake sabke aage ithlate the hum
Jabb bhi khuda ke dar par haath uthaya hai
Har dua mei usne tera bhi naam paya hai
Log kehte the aasma mei taare kam se lagte hai
Teri har dua ke liye ek tara chura late the hum
Aaj bhi dil ne yahi manga
Aaj bhi zuba pe yahi dua aayi
Tujhe khuda har lamha salamati bakshe……
Teri har raah safalta ke diyo se jagmagati rahe
Tera har khwab hakekat mei dhale
Khushiyo tere harzu muskarati rahe
How useful was this post?
Click on a star to rate it!
Average rating 1 / 5. Vote count: 1
No votes so far! Be the first to rate this post.